Karam Maangta Huwa Naat Lyrics

Karam maangta huwa
Ataa maangta huwa
Shahedi ki ulfath
Sadaa maangta huwa

Mai huwa mubtala
Marze isiya me Maula
Mohammed ke sadqe
Shifa maangta huwa

Meri zindagi unki
Ulfath me guzre
Dar e Mustafa par
Qaza maangta huwa

Nazar me basa hai
Tere ghar ka jalwa
Sare hashr behatar
Likha maangta huwa

Jahaan bar me hai
Sab musalman pareshan
Duwa me unhi ka
Bhala maangta huwa

Meri zindagi ka
Yehi ek unwaan
Ke mai Shahedi ki
Willa maangta huwa

Tere dar ka sahil
Hai Shakir khudaya
Mai tujse hi teri
Raza maangta huwa

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri