Noor ki anjuman Fatima
Markaz e Panjatan Fatima
Arsh se ban ke aayi hai tu
Murtaza ki dulhan Fatima
Kehkasha se ziyada haseen
Tere ghar ka chaman Fatima
Teri mamta ke hai do nayan
Ik Hussain Ik Hasan Fatima
Khuld ka Arsh par hai dimaag
Choo ke tere charan Fatima
Kab kisi maa ne paida kiye
Phir Hussain o Hasan Fatima
Tere Shauhar ke dar se mila
Humko rizqe sukhan Fatima
Gair ne jisko dekha nahi
Tera woh pairahan Fatima
Markaz e Panjatan Fatima
Arsh se ban ke aayi hai tu
Murtaza ki dulhan Fatima
Kehkasha se ziyada haseen
Tere ghar ka chaman Fatima
Teri mamta ke hai do nayan
Ik Hussain Ik Hasan Fatima
Khuld ka Arsh par hai dimaag
Choo ke tere charan Fatima
Kab kisi maa ne paida kiye
Phir Hussain o Hasan Fatima
Tere Shauhar ke dar se mila
Humko rizqe sukhan Fatima
Gair ne jisko dekha nahi
Tera woh pairahan Fatima