Wallah Mere Khwaja Ka Darbar Nirala Hai Lyrics

Wallah mere Khwaja ka darbar nirala hai
Ajmer ki shama ka ghar ghar me ujaala hai

Tum Hind ke waali ho kya shaan tumhari hai
Aaqa ki ata ho tum rutba tera aala hai

Gumbad tere rauze ka kya khoob chamakta hai
Mehsoos yeh hota hai ek noor ka aala hai

Ajmer ki dharti par anwaar baraste hai
Khwaja tere rauze par Taiba ka ujala hai

Dete ho sabhi ko tum sunte ho sabhi ki tum
Kuch farq nahi isme gora hai ke kaala hai

Sone do farishto ab chedo na lahad me tum
Dekho mere haatho me Khwaja ka hawala hai

Mehkhana hai Taiba ka saaki hai mera Khwaja
Bat ti hai Madine ki Baghdad ka pyaala hai

Tehreek ke khadim kya kar paaye bhala khidmat
Yeh teri inayat hai tu ne hi sambhala hai

Shakir bhi tumhara hai Rizwan bhi tumhara hai
Yeh teri inaayat hai bol unka joh baala hai

Sachcho ke sath raho Quran ka farma hai
Dozakh me na jaayega joh Khwaja wala hai

Is Rashid e Razvi ki auqat hai bas itni
Khwaja tere tukdo ne ab tak ise paala hai

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri