Baghdad Wale Dulha Lyrics

Baghdad wale dulha roshan zameer 
Mere Peeran e Peer mere Peeran e Peer

Khuda ke fazl se hum par he saaya Gauth e Aazam ka
Hame dono jahan me hai sahara Gauth e Aazam ka

Mureedi la takhaf keh kar tassali de gulamo ko
Qayamat tak rahe be khauf banda Gauth e Aazam ka

Azeezo kar chuko tayyar jab mere janaze ko 
Toh likh dena kafan par Naam e Wala Gauth e Aazam ka 

Farishte rokte kyu ho mujhe jannat me jaane se
Yeh dekho haath me daaman hai kiska Gauth e Aazam ka

Farishte madrasa se tak saath paucha ne ko jaate the
Yeh Darbar e Ilahi me yeh rutba Gauth e Aazam ka

Gaye ek waqt me sattar mureedo ke yaha aaqa
Samaj me aa nahi sakhta mu’ama Gauth e Aazam ka

Kuch gum hi nahi Aastane paak ke kutte 
Zamana pal raha hai kha ke tukhra Gauth e Aazam ka

Agar che murg sab ke bol kar khamosh hote hai 
Magar haa murg bole ga hamesha Gauth e Aazam ka

Jameel e Qadri sojan se qurban apne murshid par 
Banaya jis ne hum jaiso ko banda Gauth e Aazam ka


Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri