Haiya Alas Salah

Haiya Alas Salah Haiya Alal Falah

Dee Hazrath e Bilal ne Kabe se jab sada
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah
Irshade Kibriya hai yeh Farmane Mustafa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Paida huwe Rasool to Rehmat baras padhi
Thi Arsh se zameen talak Noor ki jhadi
Daee Haleema Goud me lekar jo chal padhi
Beeamar oonthni me ajab jaan padh gayee
Baade saba ne jhoom ke kanaun me yoon kaha
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Arshe Baree par Rab ne Bulaya Huzoor ko
Jibraeel aye aur Jagaya Huzoor ko
Haq ki raza ka jaam peelaya Huzoor ko
Chalne lage to Rab ne bataya Huzoor ko
Ummat se jaake kehna yehi tohfa hai mila
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Islam ke Alam ko uthaya Hussain ne
Baatil ke agay sar na jhukaya Hussain
kya cheez hai Namaaz bataya Hussain ne
Sajde me Apne sar ko kataya Hussain ne
Yeh dashte se abhi atee sadaa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Dadhi tamam Nabiyaun ki Sunnat hai momino
Islam ka sha'ar hai Rehamt hai momino
Sarkar ki Ghulami ki nisbat hai momino
Sunnnat par jo chala use jannat hai momino
Jannat me bhi mile ga hamay khurbe Mustafa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Meraj Roohe ahle baseerat Namaaz hai
Afzal tareen shughul sa'adat Namaaz hai
Mere Nabi ki Aankhaun ki Thandak Namaaz hai
Momin ke waaste to Shahadat Namaaz hai
Yeh hai kaleeme mazhare altafe kibriya
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri