Tu Karam Hi Karam Hai

Allahumma salle ala sayyedina
Maulana muhammadi wabarik wasallim
Allahumma salle ala sayyedina
Ya Mustafa (s.a.w) ya Mujtaba Irhamlana Irhamlana
Allahumma salle ala sayyedina
Maulana muhammadi wabarik wasallim
Allahumma salle ala sayyedina

Mai hu behosh tu sahibe hosh hai
Mai khatakar hu tu khataposh hai
Tere dariya e rehmat me wo josh hai
Ab to mere liye teri aagosh hai
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khairulwara Muhammad(s.a.w)
Allahumma salle ala sayyedina
Maulana muhammadi wabarik wasallim
Allahumma salle ala sayyedina

Ai Mujassam karam ai sarapa ata
Tu karam hi karam mai khata hi khata
Meri bakshish ka koi nahi aasrah
Kaun hai mera duniya me tere siwa
Ya Mustafa (s.a.w) ya Mujtaba Irhamlana Irhamlana
Allahumma salle ala sayyedina
Maulana muhammadi wabarik wasallim
Allahumma salle ala sayyedina

Ai Mujassam karam ai sarapa ata
Tu karam hi karam mai khata hi khata
Tu karam hi karam hai Tu karam hi karam hai
Tu karam hi karam hai Tu karam hi karam hai

Barson se jal raha hai is aarzu me seena
Kab ayega bulava kab jaaunga Madina
Mai jaau madine meri aukaat nahi hai
Sarkar bula le to badi baat nahi hai
Tu karam hi karam hai Tu karam hi karam hai
Tu karam hi karam hai Tu karam hi karam hai

Burraq pe hoke sawaar shaha
Tu arsh pe awath jawath hai
Mai jaan gaya sari batiya 
Tu ummat ko bakshawat hai
Tu karam hi karam hai Tu karam hi karam hai
Tu karam hi karam hai Tu karam hi karam hai

Sarkar ke karam se banta hai kaam apna
Zikre nabi wazifa hai subho shaam apna
Duniya badi ajab hai samje hai mujhko kya kya
Rakhte hai laaj aaqa hota hai naam apna
Mai kuch nahi hu lekin itna mujhe bahot hai
Mujhko jo ya nabi jo tum kehdo gulaam apna
Rizwan tujhko jannat ki fikr kyu sataye
Unke karam se hoga jannat makaam apna
Tu karam hi karam hai Tu karam hi karam hai
Tu karam hi karam hai Tu karam hi karam hai

Allahumma salle ala sayyedina
Maulana muhammadi wabarik wasallim
Allahumma salle ala sayyedina
Ya Mustafa (s.a.w) ya Mujtaba Irhamlana Irhamlana
Allahumma salle ala sayyedina
Maulana muhammadi wabarik wasallim
Allahumma salle ala sayyedinaa

www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri