Najdiya Sakht hi Gandi Hai Tabiyat Teri

Najdiya Sakht hi Gandi Hai Tabiyat Teri
Kufr Kiya Shirk Ka Fuzla Hai Nijasat Teri

Khaak Munh Mein Tere Kehta Hai Kise Khaak Ka Dher
Mit Gaya Deen Mili Khaak Mein Izzat Teri

Tere Nazdeek Huaa Kizb-e-Ilaahi Mumkin
Tujhpe Shaitan Ki Fatkaar Yeh Himmat Teri

Balke Kajjab Kiya Toone tu iqraar-o-W aqoo'a
Uff Re Napaak Yahan Tak hai Khabasat Teri

Ilm Shaitan Ka Hua Ilm-e-Nabi Se Zayed
Padhun Lahoul Na Kiyon Dekh Ke Soorat Teri

Bazm-e-Mee lad Ho Kaanha Ke Janam Se Badtar
Arre Andhe Arre Mardood Yeh Jur'at Teri

ilm-e-Ghaibi Mein Majnoon-o -Bahayem Ka Shumool
Kufr Aamez Junu'n Za Hai Jihalat Teri

Yaad-e-Kha r Se ho Namazo Mein Khyal Unka Bura
Uff Jahannam Ke Gadhe Uff Ye KharafatTeri

Unki Tazeem karega na Agar Waqt-e-Nam az
Maari Jayegi Tere Munh Pe Ibadat Teri

Hai Kabhi Boom ki Hillat to Kabhi Zaagh Halal
Jeefa Khwari Ki Kahin Jati Hai Aadat Teri

Hans Ki Chaal to Kiya Aati Gayi Apni Bhi
Ijtihadon Se Hi Zahir Hai Himaqat Teri

Khule Lafzo Mein Kahe Qazi-e-Sho ka'n Madade
Yaa Ali Sun ke Bigad Jaye Tabiyat Teri

Teri Atke to Wakeelo'n Se Kare istimdaad
Aur Tabeebo'n Se Madad Khwah ho illatTeri

Hum Jo Allah Ke Piyaron se i'aanat Chahein
Shirk Ka Chirk Ugalne Lage Millat Teri

Abd-e-Waha b Ka Beta Hua Shaikh-e-N ajdi
Uski Taqleed Se sabit Hai Zalalat Teri

Ussi Mushrik Ki Tasneef Hai Kitab-ul-T ouheed
Jiske Her fiqra Pe Hai Mohr-e-Sad aqat Teri

Tarjuma Uska Hua Taqviyatul -eiman Naam
Jisse Benoor Huee Chashm-e-B aseerat Teri

Waqif-e-Gh aib Ka irshad Sunaau'n Jisne
Kholdi Tujhse Bahut Pehle Haqeeqat Teri

Zalzale Najd Mein Paida Ho Fitan Barpa Ho
Yani Zahir Ho zamana Mein Sharart Teri

Ho Ussi Khaak Se Shaitan Ki Sangat Paida
Dekh Le Aaj Hai Moujood Jama'at Teri

Sar Munde Honge to Pajame Ghutne Honge
Sar Se Paa Tak Yahi Poori Hai ShabahatTeri

Ad-dua Hoga Hadeeso Pe Amal Kerne Ka
Naam Rakhti Yahi Apna Jama'at Teri

Lekin Utrega Na Qur'aan Gale Se Neeche
Abhi Ghhabra Nahi Baqi Hai Hikayat Teri

Nikleinge Deen se Yoon Jaise Nishana Se Teer
Aaj Us Teer Ki Hai Sangeet Teri

Apni Halat Ko Hadeeson Ke Mutabiq Ker Le
Aap Khul Jayegi Fir Tujh Pe Khabasat Teri

Chhorh Ker Zikr Tera Ab Hai Khitab Apno se
Ke Hai Mabghooz Mujhe Dil se Hikayat Teri

Mere Piyare Mere Apne Mere Sunni Bhai
Aaj Kerni Mujhe Tujhse Shikayat Teri

Tujh se Jo Kehta Hun Tu Dil se Sun Insaf Bhi Ker
Kare Allah Ki Toufeeq Himayat Teri

Gar Tere Baap Ko Gaali de Koi Be Tehzeeb
Ghussa Aaye Abhi Kuch Aur Ho Halat Teri

Galiya'n Dein Unhe Shaitan-e- La'een KePairu
Jinke Sadqe Mein Hai Her Doulat-o-N emat Teri

Jo Tujhe Pyar Karein Jo Tujhe Apna Farmayein
Jinke Dil Ko Kare BeChain Aziyyat Teri

Jo Tere Waste Takleefein Uthayein Kiya Kiya
Apne Aaram se Pyari Jinhe Soorat Teri

Jaag Ker Ratein Ibadat Mein Jinhone Kaati
Kis Liye iss Liye Kat Jaye Museebat Teri

Hashr Ka Din Nahi Jis Roz Kisi Ka Koi
Uss Qayamat Mein Jo Farmayein Shafa'at Teri

Unke Dushman se Tujhe Rabt Rahe Mel Rahe
Sharm Allah Se Ker Kiya Huee Ghairat Teri

Toone Kiya Baap Ko Samjha Hai ziyada Unse
Josh Mein Aayi Jo Is Darja Hararat Teri

Unke Dushman Ko Agr Toone Na Samjha Dushman
Wo Qayamat Mein Na Kareinge RifaqatTeri

Unke Dushman Ka Jo Dushman Nahi Sach Kehta Hoon
Dawa Be Asl Hai Jhooti Hai Mohabbat Teri

Balke Eimaan Ki Jo Pooche to Hai Eiman Yahi
Unse ishq Unke Adu se Ho Adawat Teri

Ahl-e-Sunnat Ka Amal Teri Ghazal Pe HoHasan
Jab Main Janu Ke Thikane Lagi Mehnat Teri.

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri