Falak pe dhoomein machi hui hai
Malaika jhoome ja rahe hai
Ke mustafa apne rab ki dawat
Pe aaj tashreef la rahe hai
Woh unki shafqat hari nigahe
Hayate nau kin awed jin me
Woh un ka rehmat bhara tabassum
Ke aasi taskeen pa rahe hai
Woh malik e kul hai unki ghiza
Wohi jau ki aadhi roti hai
Hame qinaat ka dars dane
Yeh saari zehmat utha rahe hai
Ameen o saadiq khitaab waale
Khuda ki raushan kitaab wale
Zalaalat o kufr ke andhere me
Sham e wahadat jale rahe hai
Idhar hai paani ki ek chhaagal
Udhar hai pyaase kahi sahaaba
Woh dekho sarkar ungliyo se
Yame karamat baha rahe hai
Farishto thehro na yun ghasito
Mai hu gulaam e shah e do alam
Ridaaye rehmat sambhale aaqa
Woh aa rahe hai woh aa rahe hai
Woh be saharo ka hai sahara
Isi liye hai unhe pukara
Yaqin hai unke karam ka hum ko
Tabhi toh bipta suna rahe hai
Saraapa rehmat hai dushmano ko
Dua hidayat ki de rahe hai
Baqaaye baaham ka saare aalam
Ko falsafa woh sikha rahe hai
Khajoor ki khurdari chataai
Hai mere sarkar ka bichauna
Zamaane bhar ko woh saadgi ka
Sabak anookha sikha rahe hai
Khuli hai khidki sirhaane waali
Hawaein jannat ki aa rahi hai
Aqeedat e Mustafa ke sadqe
Qabr me lutf utha rahe hai
Namaz ki ginti kam karana
Hi un ka maqsad nahi hai wallah
Yeh shauq didaare rab hai Nazmi
Palat palat kar jo ja rahe hai
Malaika jhoome ja rahe hai
Ke mustafa apne rab ki dawat
Pe aaj tashreef la rahe hai
Woh unki shafqat hari nigahe
Hayate nau kin awed jin me
Woh un ka rehmat bhara tabassum
Ke aasi taskeen pa rahe hai
Woh malik e kul hai unki ghiza
Wohi jau ki aadhi roti hai
Hame qinaat ka dars dane
Yeh saari zehmat utha rahe hai
Ameen o saadiq khitaab waale
Khuda ki raushan kitaab wale
Zalaalat o kufr ke andhere me
Sham e wahadat jale rahe hai
Idhar hai paani ki ek chhaagal
Udhar hai pyaase kahi sahaaba
Woh dekho sarkar ungliyo se
Yame karamat baha rahe hai
Farishto thehro na yun ghasito
Mai hu gulaam e shah e do alam
Ridaaye rehmat sambhale aaqa
Woh aa rahe hai woh aa rahe hai
Woh be saharo ka hai sahara
Isi liye hai unhe pukara
Yaqin hai unke karam ka hum ko
Tabhi toh bipta suna rahe hai
Saraapa rehmat hai dushmano ko
Dua hidayat ki de rahe hai
Baqaaye baaham ka saare aalam
Ko falsafa woh sikha rahe hai
Khajoor ki khurdari chataai
Hai mere sarkar ka bichauna
Zamaane bhar ko woh saadgi ka
Sabak anookha sikha rahe hai
Khuli hai khidki sirhaane waali
Hawaein jannat ki aa rahi hai
Aqeedat e Mustafa ke sadqe
Qabr me lutf utha rahe hai
Namaz ki ginti kam karana
Hi un ka maqsad nahi hai wallah
Yeh shauq didaare rab hai Nazmi
Palat palat kar jo ja rahe hai