Dil Madina mera bana Aaqa
Ho mujhe chashme namm ataa Aaqa
Ab huzoori ho door doori ho
Phir Madine mujhe bula Aaqa
Maut ke baad bhi surur aaye
Aisi ulfat ki mai pila Aaqa
Mujh ko Siddik ki sadaqat ka
Koi zarra tu kar ataa Aaqa
Kash roye Khashiyat e Rab se
Behre Farooq dil mera Aaqa
Behre Usman ba haya mujh ko
Dijiye Daulat e Haya Aaqa
Behr e Maula Ali mujhe ghalaba
Dushmano per tu kar ataa Aaqa
Az paye Fatima mujhe apne
Ishq me har ghari rula Aaka
Behr e Hasnain de panah mujh ko
Paikar e Sabr aur Riza Aaqa
Mujh ko sadqe me Bu Hanifa ke
Aalim e Ba’amal bana Aaqa
Vasta tujh ko Gaus e Azam ka
Nek sirat mujhe bana Aaqa
Vasta tujh ko Ala Hazrat ka
Tu mujhe muttaqi bana Aaqa
Mere Ehlo Ayaal aur mujh se
Door ho jaye har bala Aaqa
Muskura kar Ubaid se keh do
Tu mera banda mai tera Aaqa
Ho mujhe chashme namm ataa Aaqa
Ab huzoori ho door doori ho
Phir Madine mujhe bula Aaqa
Maut ke baad bhi surur aaye
Aisi ulfat ki mai pila Aaqa
Mujh ko Siddik ki sadaqat ka
Koi zarra tu kar ataa Aaqa
Kash roye Khashiyat e Rab se
Behre Farooq dil mera Aaqa
Behre Usman ba haya mujh ko
Dijiye Daulat e Haya Aaqa
Behr e Maula Ali mujhe ghalaba
Dushmano per tu kar ataa Aaqa
Az paye Fatima mujhe apne
Ishq me har ghari rula Aaka
Behr e Hasnain de panah mujh ko
Paikar e Sabr aur Riza Aaqa
Mujh ko sadqe me Bu Hanifa ke
Aalim e Ba’amal bana Aaqa
Vasta tujh ko Gaus e Azam ka
Nek sirat mujhe bana Aaqa
Vasta tujh ko Ala Hazrat ka
Tu mujhe muttaqi bana Aaqa
Mere Ehlo Ayaal aur mujh se
Door ho jaye har bala Aaqa
Muskura kar Ubaid se keh do
Tu mera banda mai tera Aaqa