Kisko farmaya Khuda ne noor ka roshan chirag
Kisko baksha Rab ne Aththara hazar aalam ka Raj
Kiskie sadqe chand taro ko mili hai roshani
Kiske dam se chal raha hai do jaha ka kaam kaaj
Kiske Noor e pak ko sajda Farishto ne kiya
Pesh karte hai kise sab Ambiya apna khiraj
Haa woh hai Zaat e Miuhammad yani Noor e Kibriya
Jinko pehnaya gaya hai Rehmat e Aalam ka taj
Dushmano ko bhi unhone di thi daman me panah
Inkisari unki Fitrat Hilm o Rehem unko mizaaj
Nazmi tumko unke qadmo me jagah mil jaye gar
Tum samajh lena ki tumko mil gaya Rajo ka Raj