Kaun Hai Aye Sarwar e Deen Naat Lyrics

Kaun hai aye Sarwar e Deen
Tere jaisa kaun hai
Juzte Resham Suduha ki
Shaan wala kaun hai

Yeh to hai aaqa tumhare
Naam hi ki barkate
Hum faqeeroon ko wagarna
Bheek deta kaun hai

Tu Kareem e Do jahan hai
Mai Fakir e Na Tama
Tujh sa data kaun hai aur
Mujh sa mangta kaun hai

Sadqa apne laadlo ka
Ek rehmat ki nazar
Rehmato wale Nabi
Mera sahara kaun hai

Laaj wale laaj rakhna
Tera keh lata hu mai
Mujhse bekas benawa
Mangte ka data kaun hai

Haath se daaman na
Choote Mustafa ki aal ka
Is gharane ke alawa
Mera tera kaun hai

Yaad kar Zaahid maka se
Laamaka ka woh safar
Kis ka dam sidra pe toota
Aage pounhcha koun hei?

Panjtan ka naam leva hu
Koi mujrim nahi
Duniya walo unse Aala
Unse accha kaun hai

Naam leva hu Nabi ka
Aur Nabi ki aal ka
Koi batlaye Niyazi
Mujhse acha kaun hai

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri