Lutf unka aam ho hi jayega
Shaad har nakaam ho hi jayega
Jaan dedo wa'daye deedar par
Naqd apna daam ho hi jayega
Shaad hai firdaus ya'ani ek din
Qismate khuddam ho hi jayega
Yaad reh jaayegi ye bebaakiyan
Nafs tu to raam ho hi jayega
Be nishaanon ka nishaan mita nahi
Mit te mit te naam ho hi jayega
Yaad gesu zikre haq hai aah kar
Dil me paida laam ho hi jayega
Ek din aawaaz badlenge ye saaz
Chehchaha kohraam ho hi jayega
Saailo! daaman sakhi ka thaam lo
Kuch na kuch inaam ho hi jayega
Yaade abru kar ke tadpo bulbulo
Tukde tukde daam ho hi jayega
Mufliso unki gali me jaa pado
Baaghe khuld ikraam ho hi jayega
Gar yunhi rehmat ki taawile rahi
Madha har ilzaam ho hi jayega
Baada khwari ka samaa bandhne to do
Shaykh durs aashaam ho hi jayega
Gham to unko bhoolkar lipta hai yu
Jaise apna kaam ho hi jayega
Mit! ki gar yunhi raha karze hayaat
Jaan ka nilaam ho hi jayega
Aaqilo! unki nazar seedhi rahe
Boro(n) ka bhi kaam ho hi jayega
Ab to laayi hai shafa'at afwa par
Badhte badhte aam ho hi jayega
Shaad har nakaam ho hi jayega
Jaan dedo wa'daye deedar par
Naqd apna daam ho hi jayega
Shaad hai firdaus ya'ani ek din
Qismate khuddam ho hi jayega
Yaad reh jaayegi ye bebaakiyan
Nafs tu to raam ho hi jayega
Be nishaanon ka nishaan mita nahi
Mit te mit te naam ho hi jayega
Yaad gesu zikre haq hai aah kar
Dil me paida laam ho hi jayega
Ek din aawaaz badlenge ye saaz
Chehchaha kohraam ho hi jayega
Saailo! daaman sakhi ka thaam lo
Kuch na kuch inaam ho hi jayega
Yaade abru kar ke tadpo bulbulo
Tukde tukde daam ho hi jayega
Mufliso unki gali me jaa pado
Baaghe khuld ikraam ho hi jayega
Gar yunhi rehmat ki taawile rahi
Madha har ilzaam ho hi jayega
Baada khwari ka samaa bandhne to do
Shaykh durs aashaam ho hi jayega
Gham to unko bhoolkar lipta hai yu
Jaise apna kaam ho hi jayega
Mit! ki gar yunhi raha karze hayaat
Jaan ka nilaam ho hi jayega
Aaqilo! unki nazar seedhi rahe
Boro(n) ka bhi kaam ho hi jayega
Ab to laayi hai shafa'at afwa par
Badhte badhte aam ho hi jayega