Here are the LYRICS starting with your selected alphabet!
Showing posts with label T. Show all posts

Tumhari Hi Chaukhat Mera Ek Sahara Lyrics

Tumhari hi chaukhat mera ek sahara
Tumhare hi tukdo me mera guzara

Bhawar me phasi hai yeh ummat ki kashti
Ata kardo isko Khudara kinara

Mitey dam zadan me mere saare isiya
Agar aap ek baar kardo ishara

Mujhe haath uthane se pehle mila hai
Tumhi ne Shaha haal mera sawara

Mujhe kaash aaye Mehshar woh lamha
Karu mai Shah e Ambiya ka nazara

Guzaru umr Khidmat e Deen me Ya Rab
Karu Jaan o Dil deen ki khatir nisaara

Mile gar Madine me do gaz zameen toh
Mai kar baithu saare jahan se kinara

Dam e Waapsi jab Madine me pohochu
Na lautu mai Soo e Watan phir doobara

Mere Mustafa ab karam ki nazar ho
Khada Hai yeh chaukhat pe Shakir tumhara


Tu Kareemi Man Kamina Barda Um By Maulana Jalaluddin Rumi R.A.

Tu Kareemi Man Kamina Barda Um
Laikin Az Lutf e Shuma Parwarda Um

You are the Gracious One and I am the ignoble
Now waiting at Your door Oh my Cherisher

Zindagi Aamad Bara'ay Bandagi
Zindagi Be Bandagi Sharmindagi

With devotion life becomes beauteous
And without what is life but disgrace

Yaad e O Sarmaya e Eeman Bo'ad
Har Gada Az Yaad e O Sultaan Bo'ad

Remembrance of Him is the foundation of faith
Beggars transform into kings due to His Remembrance

Sayyad o Sarwar Mohammad Noor e Jaan
Mehtar o Behtar Shafi e Mujrimaan

Liege lord Oh Muhammad you are the light of our lives
The mighty and the best intercessor of the wrong doers

Choon Muhammad Pak e Shud Az Nar o Dood
Har Kaja Roo Karad Wajhullah Bood

Since Muhammad was purified of worldly things
Whatever direction He turned is found the Face of Allah

Shahbaaz Lamakani Jaan e O
Rehmatal Lil Aalameen Dar Shaan e O

The noble soul of his is like a falcon of the highest heavens
Being the mercy of the worlds is his eminence

Mehtareen o Behtareen e Ambiyaah
Juzz Muhammad Naist Dar Arz O Samaa

The mightiest and the best of all Prophets is he,
Except Muhammad in land or sky there is none worthy

Aan Mohammad Hamid O Mahmoud Shud
Shakal e Abid Sorat e Ma'bood Shud

He is the praise of God divinely praised in abundant
He is the reflection of God in the shape of a worshiping servant

Auliyah Allah o Allah Auliyah
Yani Deed e Peer Deed e Kibriyah

The friends of God are like God because God is their friend
And in this way he who has seen his Master has seen God's Glory

Har Ka Peer o Zaat Haqra Aik Na Deed
Nai Mureed o Nai Mureed o Nai Mureed

If one doesn't see his spiritual Master as reflection of God
He is not a disciple not a disciple not a disciple

Maulvi Hargiz Na Shud Maula e Rum
Ta Ghulaam e Shams Tabrezi Na Shud

Maulana could never be Mevlana Rumi
Had he not devoted himself to Shams e Tabrezi

Tum Pe Qurban Bulane Waale Naat Lyrics

Tum pe qurban bulane waale
Bakhte Khufta ko jagane waale

Naar e Dozakh ka nahi khauf mujhe
Woh salamat hai bachane waale

Koi pooche yaa na pooche mujhko
Shah e Taiba hai nibhane waale

Garmi e Hashr se ghabraye kyu
Woh hai daaman me chupane waale

Tere sadqe me meri baat bani
Khote sikke ke chalane waale

Kaif Jannat ka mila dar pe tere
Kyari Jannat ki dikhane waale

Deke lena nahi aadat teri
Mujhko Jannat me bithaane waale

Hai mareezo ki Shifa Naat e Nabi
Woh hai Burdah ke urhaane waale

Sharbat e Deed pila do Aaqa
Jaam e Kausar ke pilane waale

Ilm e Naafi ki mile bheek mujhe
Rab ki Neh’mat le lutane waale

Ho gayi Qabr munawwar meri
Rukh e Anwar ke dikhane waale

Ho gayi phir se mayassar chawkhat
Mujhko qadmon me bithane waale

Ban gaye mere yaha bigde kaam
Tum Ho roto ko hasane waale

Kufr kaafir se chuta Mulk e Hijaaz
Sham’e Tauheed jilaane waale

Phir chalaa hu mai watan ki jaanib
Jald bulwaana bulane waale

Shakir e Razvi pe hai khaas karam
Kehte hai ab toh zamane waale

Tumko Mai Kya Batau Naat Lyrics

Tum ko mai kya batau Taiba nagar me kya hai
Bakhshish karam ataa hai har dard ki dawa hai

Mangta ka haat uthne se pehle hi diya hai
Jo manga maine unse usse siwa mila hai

Manzaara kabri us par waajib meri shafa`at
Muzda yeh Mustafa ne kya khoob hi diya hai

Taiba ki har gali me khusboo basi hai unki
Har ek gul yaha ka dulha bana huwa hai

Baadal umad ke aaye jalthal huwa Madina
Rehmat ka ek ishara Aaqa ne jab diya hai

Hai Qiblatain me woh ulfat ka raaz wallah
Qibla wahi hai jisme mehboob ki raza hai

Qadmain me joh baitha khudse hi poochta hai
Jannat yeh gar nahi hai batlao aur kya hai

Sarkar fir bulana jaisa bhi hu nibhana
Yeh aaj Waqt e Rukhsat Rizwan ki duwa hai

Teri Shaan Shaan e Qalandari Lyrics

Teri shaan Shaan e Qalandari
Tu bada Garib nawaz hai

Tere dar se Dagh e jabi mila
Yeh nishan kitna haseen mila
Yeh niaz hasile naaz hai
tu bada ghareeb nawaz hai

Hame tune apna banaliye
Ghame do jahan se chuda liya
Tera daste jood daraz hai
Tu bada Gharib nawaz hai

Tu Moin Ummat e Mustafa
Tu sabot Rehmat e Mustafa
Tu Ata e Meer e Hijaaz hai
Tu bada Garib nawaz hai

Tere kaif zikr se jhoom le
Tere aastane ko choom le
Yehi aashiqo ki namaz hai
Tu bada Gharib nawaz hai

Teri shaan anjume benawa
Kisi haal me bhi na likh saka
Tu Khuda e Paak ka raaz hai
Tu bada Gharib nawaz hai


Taha Di Shaan Waliya Naat Lyrics

Taha di shaan waliya
Arshaan te jaan waliya

Shaan teri balle balle
Rab vi durood galle
Dushmanaan de pairan thalle
Chadaraan vichhan waliya

Taha di shaan waliya
Arshaan te jaan waliya

Kiddan sohna naam tera
Uncha he maqaam tera
Sacha he qhalaam tera
Aayataan sunan waliya

Taha di shaan waliya
Arshaan te jaan waliya

Charche ne aam tere
Honde subho shaam tere
Badshah gulam tere
Qismata jagaan waleya

Taha di shaan waliya
Arshaan te jaan waliya
Dil di aas puri huyee
Door meri doori huyee
Hazri Zahoori huyee
Roze te bulaan waliya

Taha di shaan waliya
Arshaan te jaan waliya


Tu Shah e Khuban Naat Lyrics

Tu Shah e Khuban tu jaan e jaana
Hai chehra Ummul Khitab tera
Na ban saki hai na ban sake ga
Misal teri jawab tera

Tu sab se awwal tu sab se aakhi
Mila hai Husn e Dawam tujko
Hai umar lakho baras ki teri
Magar hai taza shabab tera

Khuda ki ghairat ne dal rakhe
Hai tujh pe sattar hazaar parde
Jahaan me lakho hi tur bante
Jo ek bhi utha hijab tera

Ho Mushq o Ambar ya Boo e Jannat
Nazar me uski hai be haqeeqat
Mila hai jisko mala hai jisne
Pasina rashk e gulaab tera

Mai tere Husn o Bayaan ke sadqe
Mai teri meethi zubaan ke sadqe
Ba Rang e Khushboo dilo pe utra
Hai kitna dilkash khitaab tera

Hai tu bhi saa’im ajeeb insaan
Jo khouf e mehshar se hai harasan
Arre tu jinki hai naat padhta
Wohi to lenge hisaab tera

Tum Par Lakho Salam Lyrics

Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam.

Sab se Aala izzat wale, Ghalba-o-qahr-o-taaqat wale
Hurmat wale karamat wale tum par laakhon salaam.

Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam.

Aap ka chaha Rab ka chaha, Rab ka chaha Aap ka chaha
Rab se aisi chahat wale tum par laakhon salaam.

Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam.

Arshe ula par Rab ne bulaya, apna jalwaye khaas dikhaya
Rab se aisi qurbat wale tum par laakhon salaam.

Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam.

Rab ke pyare rajdulhre, hum hai tumhare tum ho humare
Aye daamaan-e-Rehmat wale tum par laakhon salaam.

Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam.

Khwaab me jalwa apna dikho Noorie ko tum Noorie banao
Aye chamkeeli rangat wale tum par laakhon salaam.

Teri Rehmato Ka Dariya Sare Aam Chal Raha Hai Naat Lyrics

Teri rehmato ka dariya sare aam chal raha hai
Mujhe bheek mil rahi hai mera kaam chal raha hai

Mere dil ki dhadkano me hai Shareek naam tera
Isi naam ki badaulat mera kaam chal raha hai

Tere maste nazar se hai bahar maikade ki
Wahi mai baras rahi hai wahi jaam chal raha hai

Yeh karam hai khaas tera ke safina zindagi ka
Kabhi subah chal raha kabhi shaam chal raha hai

Usse chahati hai duniya usse dhundti hai manzil
Rah e Ishq e Mustafa me jo gulam chal raha hai

Mere Daman e Gadhai me hai bheek Mustafai
Isi bheek par toh Qasim mera kaam chal raha hai

Teri Chaukhat Pe Baitha Hu Naat Lyrics

Teri chaukhat pe baitha hu
Banakar haath ka kaasa
De apni aal ka sadqa

Khuda ne arsh par likha
Nabi ke waste dunga
Bada de haath ab apna
Teri chaukhat pe baitha hu

Ali o Fatima Husnain ka
Sadqa mere maula
Mere janib bhi ek tukda
Teri chaukhat pe baitha hu

Abu Bakr O Umar Farooq rakha
Jinko rakha pehlu me
Unhi ka mange sadqa
Teri chaukhat pe baitha hu

Ali Sher e Khuda jisko
Zamana Maula kehta hai
Utara dete hai ghar ka
Teri chaukhat pe baitha hu

Ujhagar teri chaukhat thaam le
Aur dam nikal jaye
Yahi lamhe hai sarmaya
Teri chaukhat pe baitha hu

Tera Naam Paak Hai Khuda Lyrics

Tera naam paak hai khuda
Teri shaan jallajalaluhu

Hai tu hi toh khali e do sara
Tera sab jahan ko hai asara
Koi rab nahi hai tere siva
Teri ibtida hai na intaha 
Tere wasp hum se ho kya ada
Teri shaan jallajalaluhu 

Hai tu hi toh malik e do jahan
Tere zikr hum se ho kya bayan
Hai har ek dil me tu hi niha
Hai sunakha teri har ek jaban
Teri hamd kis se ho kibriya
Teri shaan jallajalaluhu

Tera naam rab e jalil hao
Teri zaat pak o jamil hai
Tu hafiz hai tu waqil hai
Tuhi sab jahan ka kafil hai 
Tera shukr hum se ho kya bhala
Teri shaan jallajalaluhu 

Mere jurm ka nahi kuch shumar
Mai hu aasi aur gunahgaar
Nahi mujhsa koi siyahkaar
Muje baksh de mere kirdagar
Tera kaam hai karam o ata
Teri shaan jallajalaluhu

Tu khuda e husno jamal hai
Teri shaan jallajalal hai 
Tu hi apni aap misal hai
Kise dil takate ki lukal hai
Hai shabab ko tera asra
Teri shaan jallajalaluhu 

Nahi tujhsa koi bhi dusra
Teri shaan jallajalaluhu



Tum Ho Jane Ali Daata Hindal Wali Lyrics

Tum ho jane ali Data hindal wali
Mere Khwaja piya mere Khwaja piya

Maula ali ke Noor e Nazar ho
Pyaare nabi ke lakhte jigar ho
Hum par inaayat Shaam o shahr ho
Saiyad e Mohtaram kardo kardo karam
Mere Khwaja piya ere Khwaja piya

Usman ke pyaare dukhiyo ke waali
Koi bhikari koi sawali dar se tumhare
Lauta na khali tum ne sab ko diya
Sadqa e Chistiya tum ne sab ko diya
Khwaja sab ko diya Sadqa e Chistiya
Mere Khwaja piya mere Khwaja piya

Jisne bhi tumko dukh me pukara
Usko diya hai tum ne sahara
Mera bhi daman bhar do khudara
Waali e Bekhasa Khwaja e Khwajgan
Mere Khwaja piya mere Khwaja piya

Yaad jab aaye Tumri nagariya
Chanda ki jaisi dholi atariya
Tadpu mai jaise jal bin machaliya
Ab to kirpa karo haat sar pe dharo
Mere Khwaja piya mere Khwaja piya

Nusrat hai tum par kurbaan Khwaja
Hum sab ka hai yeh armaan Khwaja
Kardo is ummat pe ehsaan Khwaja
Ek nazar daal do mushkile taal do
Mere Khwaja piya mere Khwaja piya

Taiba Ki Hai Yaad Aayi Ab Ashk Bahane Do Naat Lyrics

Taiba ki hai yaad aayi ab ashk bahane do
Mehboob ne aanaa hai rahoon ko sajane do

Mushkil ho agar mera Taiba me abhi jana
Aye Baad e Saba meri aaho ko toh jaane do

Mai teri ziyaarat ke qaabil toh nahi maana
Yaado ko shaha apni khaabon me toh aane do

Ashko ki larhi ko ab tutane mat deyna
Aaqa ke liye muj koh kuch haar banane do

Jo chaaho saza dena Mehboob ke darbaano
Ik baar toh jaali ko seene se lagane do

Mehboob ke qaabil yeh alfaaz kaha saaim
Ashkoon ki zubaan se ab ik naat sunane do

Lagta nahi dil mera ab in weerano me
Chota sa ghar mujh ko Taiba me banane do

Roko na mujhe ab to Dar e Yaar ke darbaano
Mehboob ki jaali ko seene se lagane do

www.naatlyrics.in

Taiba Bula Na Lijiye Lyrics By Hafiz Tahir Qadri

Taiba Bula Lijiye Na, Taiba Bula Lijiye Na
Taiba Bula Lijiye Na, Taiba Bula Lijiye Na
Aaqaa, Taiba Bula Lijiye Na
Taiba Bula Lijiye Na,

Idher Bhi Nigah-e-Karam Ho Khudara
Kabhi To Muqadar Ka Chamke Sitara
Meri Umer Guzri Teri Baarga Mein
Duaon Ka Daman Bichchate Bichchate
Ab To Karam Ho Khudara
Taiba Bula Lijiye Na, Taiba Bula Lijiye Na
Aaqaa, Taiba Bula Lijiye Na
Taiba Bula Lijiye Na,

Muqader mein Mere Woh Noori Ghari Ho
Fiza-e-Haram Ho, Diyaar-e-Nabi Ho
Dar-e-Mustafa per Meri Hazri Ho
Nadamat Ke Ansoo Bahate Bahate
Ab To Karam Ho Khudara
Taiba Bula Lijiye Na, Taiba Bula Lijiye Na
Aaqaa, Taiba Bula Lijiye Na
Taiba Bula Lijiye Na,

Tere Dar Pe Aoon, Mein Ban ke Sawali
Rahe Samne Tere Rozay Ki Jaali
Gareebon ke Mola, Yateemon ke Wali
Bari Dair Kar Di Bulate Bulate
Ab To Karam Ho Khudara
Taiba Bula Lijiye Na, Taiba Bula Lijiye Na
Aaqaa, Taiba Bula Lijiye Na
Taiba Bula Lijiye Na,

Nigahon Mein Ho Sabz Gumbad Ke Jalwe
Labpon Per Hon Teri Inayat Ke Nagmay
Shab o Roz Guzre Niyazi Ke Aaqa
Tera Zikar e Anwar Sunate Sunate
Ab To Karam Ho Khudara
Taiba Bula Lijiye Na, Taiba Bula Lijiye Na
Aaqaa, Taiba Bula Lijiye Na
Taiba Bula Lijiye Na

www.naatlyrics.in

Tumhara Naam Musibat Mey Jab Liya Hoga

Tumhara naam musibat mey jab liya hoga,
Humara bigda huwa kaam ban gaya hoga.

Gunahgaar pe jab lutf Aap ka hoga,
Kiya baghayr kiya bey kiya kiya hoga

Khuda ka lutf huwa hoga dastagir zaroor,
Jo girthay girthay tera naam ley liya hoga.

Dikhayi jaayegi mehshar mein shaane Mahboobi,
Ke Aap hi ki khushi Aap ka kaha hoga.

Khudaye Paak ki chahein gey aglay pichlay khushi,
Khudaye Paak khushi un ki chahtha hoga.

Kisi ke paaon ki beydi yeh kaat te honge,
Koi aseere gham unko pukaarta hoga

Kisi taraf se sada aaey gi Huzoor aao!
Nahi to dam me ghareebon ka faisala hoga.

Kisi key palle peh ye hongay waqt wazne amal,
Koi umeed se mooh unka tak raha hoga

Koi kahe ga duhaahi hai Ya Rasoolallah!
To koi thaam key daman machal gaya hoga

Kisi ko le ke chalein ge farishte sooye jaheem,
Woh un ka raasta phir phir key dekhta hoga.

Shikastha paaon mere haal ki khabr kar do,
Koi kisi sey yeh ro ro key keh raha hoga.

Khuda ke waaste jald unse arze haal karo,
Kise khabr hai ke dambhar me haal kya hoga.

Pakad ke haath koi haale dil sunaaye ga,
To ro key qadmon pe koi machal gaya hoga.

Zaban sookhi dikha kar koi labe kauthar,
Janabay Paak key qadmon pey gir gaya hoga

Nishaane husraway di door mey ghulaamon ko,
Liwaye hamd ka parcham batha raha hoga

Koi qareebe tarazu koi labe kauthar,
Koi sirat pey unko pukaarta hoga

Yeh bekaraar karegi sada ghareebon ki,
Ke muqaddas ankhon sey thalaash ka bandha hoga

Woh paak dil ke nahi jisko apna andeysha,
Khoj me fikr o tharado mey gir gaya hoga

Hazaar jaan fida narm narm paaon sey,
Pukaar unke aseeron ki daudtha hoga

Azeez bache ko maa jis tarhay talash kare,
Khuda gawa yahi haal Aap ka hoga

Khudai bhar inhi haathon ko dekhti hogi,
Zamana bhar unhi qadmon pey lowt-ta hoga

Maqaam faasilon par kaam mukhtalif ithnay,
Woh din zahooray kamaale Huzoor ka hoga

Kahein gey aur nabi 'iz habu ila ghairi',
Meray Huzoor keh lab par 'ANA LAHA' hoga

Duaey ummath badkaar wirday lab hogi,
Aur Khuda kay saamney sajdey mey sar jhuka hoga

Ghulaam unki inayath say chayn mey hongay,
Aduw Huzoor ka aafath mey mubthala hoga

Mai un key dar ka bhikari hun fazlay Mouwla sey,
Hasan faqeer ka jannat mey bistara hoga.

www.naatlyrics.in

Tum Hi Ho Jaane Chaman

Noor ka jharna husn ka dhaara jalwo ka chilman
Tumhi ho jaane chaman, Tumhi ho jaane chaman


Tere paseene ki khusboo se
Bachche khusbudar hue
Wo rashke gulzar hue
Tere paseene ki bu pakar kehti hai dulhan
Tumhi ho jaane chaman, Tumhi ho jaane chaman

Chand ka seena shak hota hai
Sooraj dauda aata hai
Kadmon pe jhuk jata hai
Chand sitare sooraj tere nakhoon ki katran
Tumhi ho jaane chaman, Tumhi ho jaane chaman

Tere paye naaz ke niche
Ek nahi sau jannat hai
Ye to rab ki hikmat hai
Tere hi kadmon pe hai nichavar apna tan man dhan
Tumhi ho jaane chaman, Tumhi ho jaane chaman

Imaano irfaa ki khushbu
Baage raza se aati hai
Ye Faiz barkaati hai
Taiba ki saugate baate barkaati aangan
Tumhi ho jaane chaman, Tumhi ho jaane chaman

Rang gulabi dekha sabne
Shehre karam ke kharo ka
Kya kehna nazaro ka
Kehti hai ye juhi, champa,nargis aur sosang
Tumhi ho jaane chaman, Tumhi ho jaane chaman

Apne asad pe chashme inayat
Pyare aaqa farma do
Meri kismat chamka do
Apne karam ke fool se aaqa bhar do mera daman
Tumhi ho jaane chaman, Tumhi ho jaane chaman

www.naatlyrics.in

Tum Pe Sao Jaan Se Kurbaan Ya Rasoolallah

Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Fida hai tum pe meri jaan ya rasoolallah
Tumhi  ho deen aur imaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Tumhari naat ke sadqe me sarware aalam
Mili hai mujhko ye pehchan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Meri majal hi kya mai tumhari naat likhu
Tumhari madha hai Qur'an ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Mata e deen bhi duniya bhi hum ko tum se mili
Mila hai tumse hi Rehman ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Liya hai aapne daman me mujh se aasi ko
Bahot bada hai ye ehsaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Kise sunau mai sarkar dastane alam
Tumhi ho dard ke darmaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Tumhare rauza e anwar ki shaan kya kehna
Hai jibraeel bhi darbaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Khuda ki khalq me khulqe azeem tum jaisa
Nahi hai doosra insaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Nahi hai ahsanu minka koi zamane me
Ye keh chuke tere Hassan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Bulao jald Madine me dil tadapta hai
Madina dekh le Rizwan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

www.naatlyrics.in

Tere Damane Karam Me

Tere damane karam me jise neend aa gayi hai
Jo fana na hogi aisi use zindagi mili hai

Mujhe kya padi kisi se karu arze mudd'a mai
Meri lau to bas unhi ke dar e jood se lagi hai

Tere damane karam me jise neend aa gayi hai
Jo fana na hogi aisi use zindagi mili hai

Wo jahan bhar ke daata mujhe fer denge khaali
Meri tauba ai khuda ye mere nafs ki badi hai

Tere damane karam me jise neend aa gayi hai
Jo fana na hogi aisi use zindagi mili hai

Mai maru to mere maula ye malaika se keh de
Koi is ko mat jagana abhi aankh lagi hai

Tere damane karam me jise neend aa gayi hai
Jo fana na hogi aisi use zindagi mili hai

Mai gunahgaar hu aur bade martabon ki khahish
Tu magar Karim hai jo teri banda parwari hai

Tere damane karam me jise neend aa gayi hai
Jo fana na hogi aisi use zindagi mili hai

Teri yaad thapki dekar mujhe ab shaha sulade
Mujhe jaagte hue yoon badi der ho gayi hai

Tere damane karam me jise neend aa gayi hai
Jo fana na hogi aisi use zindagi mili hai

Tera dile shakta Akhtar isi intezaar me hai
Ki abhi naweede wislat tere dar se aa rahi hai

Tere damane karam me jise neend aa gayi hai
Jo fana na hogi aisi use zindagi mili hai

By-Huzoor Akhtar Raza Khan Azhari

www.naatlyrics.in 

Tajdar e Haram Ho Nighah e Karam Lyrics

Kismat mein meri chain say jeena likh day
Dube na kabhi mera safeena likh day
Jannat bhi bahot khoob magar mere liye
Aye Katib e Taqdeer, madina likh day
Tajdar e haram, hoo nigah e karam
Hum ghareebon kay din bhi sanwar jayein gay
Tajdar e haram, ho nigaah e karam
Hamiy e baikasan, kiya kahe ga jahan
App kay dar say khali agar jayein gay.
Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Chashm e rahmat ba khusha sooh e malandaz e nazar
Aie madani la kabi hashmi o muttalabi…
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Kya tumse kahoon aie Rab kay kunwar
Tum janat ho man ki battiyaan
Dar furqat toh aie ummi laqab
Kate na katath hai ab ratiyaan
Turi preet mein sudh bhud sab bisri
Kab tak ye rahegi be khabri
Daah e ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri batiyaan
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.

Koi apna nahi gham kay mare hain hum
Aap kay dar pay faryaad laye hain hum
Ho Nigah e karam, nigah e karam
Ho Nigah e karam, warna chokhat pe hum
Aap ka naam lay lay kay marjayein gay
Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Maikasho aao aao madine chalein
Chashm e sakiye kosar say pinay chalein
Yaad rakho agar, uth gayi ik nazar
Jitnay khali hain sab jaam bhar jayein gay.
Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Khof e toofan hai, bijliyoon ka hai dar
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayein hum
Ap hi gar na lein gay, hamari khabar
Hum museebat kay mare kidhar jayein gay
Tajdar e haram, hoo nigah e karam
Hum ghareebon kay din bhi sanwar jayein gay
Tajdar e haram, ho nigaah e karam
Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!
Tajdar e haram…

          OTHER VERSES:

Mai saahil hoon meri auqaat kya hai
Tum aaqa ho, tumhari baath kya hai
Chashm-e-rahmat-ba-khusha soohe-malandaz nazar
Aye quraishi-la-kabi hasmhi-o-muttalabi
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Kehna saba huzoor se, kehta hai ek ghulam
Bass ek nazar ho, ek nazar ka sawaal hai
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Phir ujdiyon ko laal de, jaan paththaron mein daal de
Haavi ho mustaqbil pe hum, maazi sa humko haal de
Daawa hai teri chaah ka, is ummat-e-gumraah ka
Tere siva koi nahi, ya rahmat-al-lil-alameen
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa, ya mujtaba, eraham-lana, eraham-lana
Dast-e-hama, bechara ra
Daama tuhi, pursa tuhi
Mann aasiyam, Mann ajizam
Mann bekasam, Haal-e-mara
Ya shafaye, roz-e-jazaa
Pursa tuhi, pursa tuhi
Aye mushtub-e-zambar fishaan
Paike naseem-e-sub haram
Aye charagar insanafas
Aye munise beemar-e-gham
Aye kaasid-e-parkhundapaye
Tujhko usi gul ki kasam
Ibnil tayari has saba
Yauman ila-ar-dil-haram
Ballib salami roza tann
Fi-han nabi-al-mohtaram
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge
Tajalliyon ki ajab hai fazaa madine mein
Nigah-e-shauk ki hai inteha madine mein
Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa madine mein
Namaz-e-ishq karenge adaa madine mein
Idhar udhar na bhatakte phiro khuda ke liye
Barah-e-raas hai raahe-e-khuda madine mein
Madine chalen, aao Madine chalen
Isi mahine chalen, chalo madine chalen
Maikashon aao aao madine chalen
Dast-e-saakhi-e-kausar se peene chalen
Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar
Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Aapke darr se na koi khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho habeeb-e-hazin par bhi aaqa nazar
Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Tajdar-e-Haram

www.naatlyrics.in

Teray Rowzay They Aawan Mey


Teray rowzay they aawan mey, Madinay wich rehn waleya

jali aakhiyan naal lawan mey, Madinay wich rehn waleya

wich qabr dey aaja lagiyan towd nibhaa jana

tera ummati sada waan mey, Madinay wich rehn waleya

jad waqt naza howey, bas Teri nigha howey

tera ummati sada waan mey, Madinay wich rehn waleya

Sadqah Shaane kareemi da bharam rakhna Naeemi da

Teriyan ne'matan sanawaan mey, Madinay wich rehn waleya

Sadqah Shaane kareemi da bharam rakhna ham sab ka

Teriyan ne'matan sunandey rawa, Madinay wich rehn waleya

www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri